اردو हिंदी
Kabhi jangal kabhi sahra kabhi dariya likhkha | Shaahi Shayari
kabhi jangal kabhi sahra kabhi dariya likhkha

Ghazal

Kabhi jangal kabhi sahra kabhi dariya likhkha

Sheen Kaaf Nizam

;

kabhi jangal kabhi sahra kabhi dariya likhkha
ab kahan yaad ki hum ne tujhe kya kya likhkha

shahr bhi likkha makan likkha mohalla likha
hum kahan ke the magar us ne kahan ka likhkha

din ke mathe pe to suraj hi likha tha tu ne
raat ki palkon pe kis ne ye andhera likhkha

sun liya hoga hawaon mein bikhar jata hai
is liye bachche ne kaghaz pe gharaunda likhkha

kya KHabar us ko lage kaisa ki ab ke hum ne
apne ek KHat mein use dost purana likhkha

apne afsane ki shohrat use manzur na thi
us ne kirdar badal kar mera qissa likhkha

hum ne kab sher kahe hum se kahan sher hue
marsiya ek faqat apni sadi ka likhkha