kabhi hota hun zahir jalwa-e-husn-e-niko ho kar
kabhi KHatir mein chhup jata hun teri aarzu ho kar
kabhi kam ho ke sharmata hun misl-e-qatra saghar mein
kabhi kasrat se ruk jata hun shishe ka gulu ho kar
baDha leta hun aksar rabt yar-e-pak-daman se
lipaT jata hun dast-o-pa se main aab-e-wuzu ho kar
sukunat se bahut baDh ke hai meri KHana-bar-doshi
raha karta hun har KHatir mein teri justuju ho kar
nahin hai ehtiyaj-e-ghair waqt-e-josh-e-betabi
chhalak jata hun be-taklif saqi main subu ho kar
sikhai hai nai tadbir mujh ko meri KHatir ne
pasand aata hun dushman ko bhi teri guftugu ho kar
nahin chalti koi tadbir kya kya fikr karte hain
main kar deta hun qail sab ko teri guftugu ho kar
taqaza-e-tamanna se na ek ja do-ghaDi baiThe
phiraya umr-bhar aalam mein teri justuju ho kar
na kyun kar shor ho aalam mein meri fikr-e-KHatir ka
dilon ko khinch leta hun tumhaara rang-e-ru ho kar
nahin mumkin kabhi tar-damani mein farq kuchh aae
baha karte hain ashk-e-chashm mere aab-ju ho kar
nishan kya puchhte ho be-nishanon ke Thikanon ka
dimaghon mein raha karta hun main gesu ki bu ho kar
kabhi mulk-e-halab mein hun kabhi shahr-e-KHutan mein hun
nahin rahta teri shohrat ki surat ek su ho kar
KHarash-e-zaKHm-e-sina muddaton ka dur karta hun
lipaT jata hun jab shane se zulf-e-mushk-bu ho kar
kami main bhi meri hasti ki hasti aur paida hai
kabhi abru bhi ban jata hun qasr-e-abru ho kar
uTha leta hun jo aae musibat apne sar par main
saha karta hun zulm-e-dil-ruba aashiq ki KHu ho kar
bhali ko bhi samajhta hun buri har dost dushman ki
nahin qabu mein main rahta mizaj-e-jang-ju ho kar
mere soz-e-darun mein sau tarah ke lutf hasil hain
jalata hun dilon ko yaad-e-yar-e-shama-ru ho kar
lahu se pairahan tar dekh kar yaron ne farmaya
'nasim' aaya hai ku-e-yar se kya surKH-ru ho kar
Ghazal
Kabhi hota hun zahir jalwa-e-husn-e-niko ho kar
Naseem Dehlvi