kabhi hans raha tha kabhi ga raha tha
mera hausla tha jiye ja raha tha
ye achchha hua koi milne na aaya
main KHud apne sae se katra raha tha
wo pahli kiran si mere aansuon ki
mujhe apna ek KHwab yaad aa raha tha
kai aql ki gutthiyan thin mera dil
samajhta na tha mujh ko samjha raha tha
usi par nae phul bhi khil rahe the
wahi shaKH main jis pe murjha raha tha
wo mujh se mila sham ke waqt jab main
parindon ke hamrah ghar ja raha tha
Ghazal
Kabhi hans raha tha kabhi ga raha tha
Mushaf Iqbal Tausifi

