اردو हिंदी
Kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga | Shaahi Shayari
kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga

Ghazal

Kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga

Anwar Masood

;

kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga
kya jab aankhen na rahengi to ujala hoga

mashghala us ne ajab saunp diya hai yaro
umr bhar sochte rahiye ki wo kaisa hoga

jaane kis rang se ruThegi tabiat us ki
jaane kis Dhang se ab us ko manana hoga

is taraf shahr udhar Dub raha tha suraj
kaun sailab ke manzar pe na roya hoga

yahi andaz-e-tijarat hai to kal ka tajir
barf ke baT liye dhup mein baiTha hoga

dekhna haal zara ret ki diwaron ka
jab chali tez hawa ek tamasha hoga

aastinon ki chamak ne hamein mara 'anwar'
hum to KHanjar ko bhi samjhe yad-e-baiza hoga