اردو हिंदी
Kab lag sake jafa ko uski wafa-e-alam | Shaahi Shayari
kab lag sake jafa ko uski wafa-e-alam

Ghazal

Kab lag sake jafa ko uski wafa-e-alam

Mushafi Ghulam Hamdani

;

kab lag sake jafa ko us ki wafa-e-alam
hai jis ka har karishma sabr-azma-e-alam

muhtaj phir jahan mein koi nazar na aata
karta KHuda jo mujh ko hajat-rawa-e-alam

hum ko to kuchh na sujha aawe wahi dikha de
dekha ho gar kisi ne kuchh ya wara-e-alam

aalam agar hai hadis to mujh ko tu bata de
kyun ab talak hai wo hi nashw-o-numa-e-alam

koi kuchh hi samjhe is ko par apni aankh mein to
sath is hudus ke hai sabit baqa-e-alam

wo bhi nazar mein apni is waqt jalwa-gar hai
aalam jo kuchh ki hoga baad-az fana-e-alam

aankhen to tujh ko di hain Tuk dekh to sahi tu
hai rast kis ke qad par chaspan qaba-e-alam

aalam mein aur hum mein ik-tarfa raftagi hai
aalam fida hai hum par hum hain faida-e-alam

hum ibtida ki puchhen phir baiTh kar haqiqat
hum ko koi bata de gar intiha-e-alam

kya lutf aashiqi ka ab rah gaya hamari
yan aaKHir-e-jawani wan ibtida-e-alam

kis ghuncha-lab ki mujh ko yaad aa gai hai is dam
jo tang ho gaya hai mujh par faza-e-alam

aise se dad-KHwahi mahshar mein bhi sitam hai
har ek ghamza jis ka ho KHun-baha-e-alam

kab dad ko kisi ki pahuncha wo ru-e-dilkash
hum ne to us ko paya hasrat-faza-e-alam

jab aalam-e-haya se begana wo nigah thi
pate the tab bhi us ko hum aashna-e-alam

hain 'mushafi' hum ab to manind hadse ke
dekhen Tale hai kis din sar se bala-e-alam