kawish-e-besh-o-kam ki baat na kar
chhoD dam-o-diram ki baat na kar
dekh kya kar rahe hain ahl-e-zamin
aasman ke sitam ki baat na kar
apni aah-o-fughan ke soz ko dekh
saz ke zer-o-bam ki baat na kar
yun bhi tufan-e-gham hazaron hain
ishq ki chashm-e-nam ki baat na kar
saKHt uljhi hain zist ki rahen
zulf ke pech-o-KHam ki baat na kar
aaj sud-o-ziyan ka sauda hai
aaj dair-o-haram ki baat na kar
dekh farhad ki tunuk-noshi
wusat-e-jam-e-jam ki baat na kar
hum ne dekha hai zarf-e-ahl-e-karam
hum se ahl-e-karam ki baat na kar
shab ki ranginiyon ka zikr na chheD
haalat-e-subh-dam ki baat na kar
aaj mat chheD gham ke afsane
aaj ai dost gham ki baat na kar
chhin na jae tera tabassum-e-lab
mere dard-o-alam ki baat na kar

Ghazal
Kawish-e-besh-o-kam ki baat na kar
Sufi Tabassum