kaTe hain din hayat ke lachaar ki tarah
kahne ko zindagi hai ye gulzar ki tarah
malum hi na thin unhen kuchh apni qimaten
ahl-e-qalam bike yahan aKHbar ki tarah
taqrir us ne ki thi hamare KHilaf jo
har lafz chubh raha hai hamein KHar ki tarah
kya tum pe e'tibar karen tum hi kuchh kaho
qaul-o-qarar karte ho sarkar ki tarah
niklegi kaise koi mulaqat ki sabil
duniya khaDi hai rah mein diwar ki tarah
diwar-o-dar pe 'kirishna' ki lila ke naqsh hai
mandir hai ye to 'krishn' ke darbar ki tarah
ghairat hamein aziz hai ghairat se hum jiye
pahni hai hum ne sar pe ye dastar ki tarah
ai 'shobha' dekh un ki zara KHush-libasiyan
nikle hain ban ke wo kisi gulzar ki tarah
Ghazal
KaTe hain din hayat ke lachaar ki tarah
Shobha Kukkal