kash baadal ki tarah pyar ka saya hota
phir main din raat tere shahr pe chhaya hota
rah mein aag ke dariya se guzarna tha agar
tu ne KHwabon ka jazira na dikhaya hota
mujh si taKHliq ka ilzam na aata tujh par
main agar naqsh-e-ghalat tha na banaya hota
KHwab TuTe the agar tere bhi meri hi tarah
bojh kuchh teri bhi palkon ne uThaya hota
lams hathon ka bhi kafi tha pighalne ke liye
mom ke but ko zamin par na giraya hota
Ghazal
Kash baadal ki tarah pyar ka saya hota
Murtaza Birlas

