اردو हिंदी
KanTon pe chal raha hun mohabbat ki rah mein | Shaahi Shayari
kanTon pe chal raha hun mohabbat ki rah mein

Ghazal

KanTon pe chal raha hun mohabbat ki rah mein

Mohammad Usmaan Arif

;

kanTon pe chal raha hun mohabbat ki rah mein
kis husn ki bahaar hai meri nigah mein

duniya gunahgar hai teri nigah mein
zahid hai tera zoam bhi daKHil gunah mein

zarron mein kya nahin hai jo hai mehr-o-mah mein
pasti nigah mein hai bulandi nigah mein

diwangan-e-ishq ko duniya ki kya KHabar
duniya ko chhoD aae kahin gard-e-rah mein

har manzil-e-hayat se guzra chala gaya
har marhale pe aap the meri nigah mein

kaunain mein samae na 'arif' wo husn jab
kis ka hai zarf rakh sake us ko nigah mein