kaam har roz ye hota hai kis aasani se
us ne phir mujh ko sameTa hai pareshani se
mujh pe khulta hai teri yaad ka jab bab-e-tilism
tang ho jata hun ehsas-e-farawani se
aaKHirash kaun hai jo ghurta rahta hai mujhe
dekhta rahta hun aaine ko hairani se
meri miTTi mein koi aag si lag jati hai
jo bhaDakti hai tere chhiDke hue pani se
tha mujhe zom ki mushkil se bandhi hai meri zat
main to khulta gaya us par baDi aasani se

Ghazal
Kaam har roz ye hota hai kis aasani se
Salim Saleem