kabe ka shauq hai na sanam-KHana chahiye
jaanana chahiye dar-e-jaanana chahiye
saghar ki aarzu hai na paimana chahiye
bas ek nigah-e-murshid-e-mai-KHana chahiye
hazir hain mere jaib-o-gareban ki dhajjiyan
ab aur kya tujhe dil-e-diwana chahiye
aashiq na ho to husn ka ghar be-charagh hai
laila ko qais shama ko parwana chahiye
parwarda-e-karam se to zeba nahin hijab
mujh KHana-zad-e-husn se parda na chahiye
shikwa hai kufr ahl-e-mohabbat ke waste
har ek jafa-e-dost pe shukrana chahiye
baada-kashon ko dete hain saghar ye puchh kar
kis ko zakat-e-nargis-e-mastana chahiye
'bedam' namaz-e-ishq yahi hai KHuda-gawah
har dam tasawwur-e-ruKH-e-jaanana chahiye
Ghazal
Kabe ka shauq hai na sanam-KHana chahiye
Bedam Shah Warsi