junun kar-farma hua chahta hai
qadam dasht paima hua chahta hai
dam-e-girya kis ka tasawwur hai dil mein
ki ashk ashk dariya hua chahta hai
KHat aane lage shikwa-amez un ke
milap un se goya hua chahta hai
bahut kaam lene the jis dil se hum ko
wo sarf-e-tamanna hua chahta hai
abhi lene pae nahin dam jahan mein
ajal ka taqaza hua chahta hai
mujhe kal ke wade pe karte hain ruKHsat
koi wada pura hua chahta hai
fuzun tar hai kuchh in dinon zauq-e-asyan
dar-e-rahmat ab wa hua chahta hai
qalaq gar yahi hai to raaz-e-nihani
koi din mein ruswa hua chahta hai
wafa shart-e-ulfat hai lekin kahan tak
dil apna bhi tujh sa hua chahta hai
bahut haz uThata hai dil tujh se mil kar
qalaq dekhiye kya hua chahta hai
gham-e-rashk ko talKH samjhe the hamdam
so wo bhi gawara hua chahta hai
bahut chain se din guzarte hain 'haali'
koi fitna barpa hua chahta hai
Ghazal
Junun kar-farma hua chahta hai
Altaf Hussain Hali