junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho
sukut-e-shab mein ek andaz guftugu ka bhi ho
main jis ko apni gawahi mein le ke aaya hun
ajab nahin ki wahi aadmi adu ka bhi ho
wo jis ke chaak-e-gareban pe tohmaten hain bahut
usi ke hath mein shayad hunar rafu ka bhi ho
wo jis ke Dubte hi naw Dagmagane lagi
kise KHabar wahi tara sitara-ju ka bhi ho
subut-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naz
usi ki tegh se rishta rag-e-gulu ka bhi ho
wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua
meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho
Ghazal
Junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho
Iftikhar Arif