اردو हिंदी
Jo tere gham ki girani se nikal sakta hai | Shaahi Shayari
jo tere gham ki girani se nikal sakta hai

Ghazal

Jo tere gham ki girani se nikal sakta hai

Ahmad Khayal

;

jo tere gham ki girani se nikal sakta hai
har musibat mein rawani se nikal sakta hai

tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai
tera kirdar kahani se nikal sakta hai

shahr-e-inkar ki pur-pech si in galiyon se
tu faqat ijz-bayani se nikal sakta hai

gardish-e-daur tere sath chale chalta hun
kaam agar naql-e-makani se nikal sakta hai

ai meri qaum chali aa mere pichhe pichhe
koi rasta bhi to pani se nikal sakta hai