اردو हिंदी
Jo tere dard hain wahi sab mere dard hain | Shaahi Shayari
jo tere dard hain wahi sab mere dard hain

Ghazal

Jo tere dard hain wahi sab mere dard hain

Iqbal Haider

;

jo tere dard hain wahi sab mere dard hain
kahne ko apni apni jagah fard fard hain

dhundla gae hain aks nazar hai bhanwar bhanwar
KHwabon mein bhi KHayal ke aaine gard hain

peshaniyon pe waqt shikan-dar-shikan nahin
chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard hain

ek dusre ko jaan ke pahchante nahin
hum log sare ek qabile ke fard hain

bhigi hatheliyon se na paDh kal ki zindagi
gahri har ek lakir sahi hath sard hain

ye KHushk lab ye panw ke chhaale ye sar ki dhul
hum shahar ki faza mein bhi sahra-naward hain

'iqbaal' jab se phul hain gul-dan ke asir
KHushbu uDi uDi si hai aur rang zard hain