jo tasawwur mein hai us ko koi kya raushan kare
aks-e-gum-gashta ko kaise aaina raushan kare
hum giran-goshon mein harf-e-mo'tabar kahne ko hain
dekhiye kis ki samaat ye sada raushan kare
Dub jae jab kabhi tarikiyon mein raushni
ek diya sine mein phir us ki nawa raushan kare
muntazir hain sab hawa ke chand chehre aur charag
dekhiye ye kya bujha de aur kya raushan kare
aasman ko chumte shahron mein fursat hai kise
is khanDar mein kaun ye bujhta diya raushan kare
dhire dhire bujh gai jitni dilon mein aag thi
ab yahan kya hai jise dast-e-dua raushan kare
raat ke jangal mein main hun aur teri mubham si yaad
ek diya hai ye kahan tak rasta raushan kare
Ghazal
Jo tasawwur mein hai usko koi kya raushan kare
Shoaib Nizam

