اردو हिंदी
Jo tabassumon se ho gul-fishan wahi lab hansi ko taras gae | Shaahi Shayari
jo tabassumon se ho gul-fishan wahi lab hansi ko taras gae

Ghazal

Jo tabassumon se ho gul-fishan wahi lab hansi ko taras gae

Payam Fatehpuri

;

jo tabassumon se ho gul-fishan wahi lab hansi ko taras gae
hamin shahryar-e-hayat the hamin zindagi ko taras gae

ye ajib subh-e-bahaar hai koi zindagi ki kiran nahin
hamin KHaliq-e-mah-o-mehr hain hamin raushni ko taras gae

ye chaman hai kaisa chaman jahan tahi-damani hi nasib hai
ye bahaar kaisi bahaar hai ki kali kali ko taras gae

na karam na koi itab hai koi is ada ka jawab hai
kabhi dosti ko taras gae kabhi dushmani ko taras gae

wahi manzilon se bhaTak gae na junun ke sath jo chal sake
jo fareb hosh mein aa gae rah-e-agahi ko taras gae

hai ajab nasib bhi ishq ka na wafa mili na jafa mili
tere iltifat ki kya KHabar teri be-ruKHi ko taras gae

main 'payam' kafir-e-ishq hun meri gumrahi bhi hai bandagi
ki fida-e-kaba-o-dair bhi meri kafiri ko taras gae