jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye
nahin hai KHwab se behtar kuchh armughan ke liye
tamam illat-e-darmandagi hai qillat-e-shauq
tapish hui par-e-parwaz-e-murgh-e-jaan ke liye
sharik-e-bulbul-o-qumri hain wo zabun-fitrat
jo be-qarar rahe sair-e-gulistan ke liye
umid hai ki nibahenge imtihan le kar
jo is qadar mutaqazi hain imtihan ke liye
na KHakiyon se talluq na qudsiyon se rabt
na hum zamin ke liye hain na aasman ke liye
payam-e-dost hua qasidon ko wajh-e-sharaf
nasim-e-misr se izzat hai karwan ke liye
qafas zamana o jaan murgh o aashiyan malakut
qafas mein murgh hai betab aashiyan ke liye
fasane yun mohabbat ke sach hain par kuchh kuchh
baDha bhi dete hain hum zeb-e-dastan ke liye
hamari nazm mein hai 'shefta' wo kaifiyyat
ki kuchh rahi na haqiqat mai-e-mughan ke liye
Ghazal
Jo ku-e-dost ko jaun to pasban ke liye
Shefta Mustafa Khan