اردو हिंदी
Jo KHayal aaya tumhaari yaad mein Dhalta raha | Shaahi Shayari
jo KHayal aaya tumhaari yaad mein Dhalta raha

Ghazal

Jo KHayal aaya tumhaari yaad mein Dhalta raha

Jameel Malik

;

jo KHayal aaya tumhaari yaad mein Dhalta raha
dil charagh-e-sham ban kar subh tak jalta raha

hum kahan rukte ki sadiyon ka safar darpesh tha
ghanTiyan bajti rahen aur karwan chalta raha

kitne lamhon ke patange aae aa kar jal-bujhe
mein charagh-e-zindagi tha ta-abad jalta raha

husn ki tabaniyan mera muqaddar ban gain
chand mein chamka kabhi KHurshid mein Dhalta raha

jaane kya guzri ki farzane bhi diwane hue
main to shaer tha KHud apni aag mein jalta raha