jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam
zat se apni na hilne ka safar rakkha hai nam
paD gaya hai ek bhanwar us ko samajh baiThe hain ghar
lahr uThi hai lahr ka diwar-o-dar rakkha hai nam
nam jis ka bhi nikal jae usi par hai madar
us ka hona ya na hona kya, magar rakkha hai nam
hum yahan KHud aae hain laya nahin koi hamein
aur KHuda ka hum ne apne nam par rakkha hai nam
chaak-e-chaaki dekh kar pairahan-e-pahnai ki
main ne apne har nafs ka baKHiya-gar rakkha hai nam
mera sina koi chhalni bhi agar kar de to kya
main ne to ab apne sine ka sipar rakkha hai nam
din hue par tu kahin hona kisi bhi shakl mein
jag kar KHwabon ne tera raat bhar rakkha hai nam
Ghazal
Jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam
Jaun Eliya