jo ghair the wo isi baat par hamare hue
ki hum se dost bahut be-KHabar hamare hue
kise KHabar wo mohabbat thi ya raqabat thi
bahut se log tujhe dekh kar hamare hue
ab ek hujum-e-shikasta-dilan hai sath apne
jinhen koi na mila ham-safar hamare hue
kisi ne gham to kisi ne mizaj-e-gham baKHsha
sab apni apni jagah chaaragar hamare hue
bujha ke taq ki shamen na dekh taron ko
isi junun mein to barbaad ghar hamare hue
wo e'timad kahan se 'faraaz' laenge
kisi ko chhoD ke wo ab agar hamare hue
Ghazal
Jo ghair the wo isi baat par hamare hue
Ahmad Faraz