jo diya tu ne hamein wo surat-e-zar rakh liya
tu ne patthar de diya to hum ne patthar rakh liya
siskiyon ne chaar sau dekha koi Dhaaras na thi
ek tanhai thi us ki god mein sar rakh liya
ghuT gaya tahzib ke gumbad mein har KHwahish ka dam
jangalon ka mor hum ne ghar ke andar rakh liya
mere baalon pe saja di garm sahraon ki dhul
apni aankhon ke liye us ne samundar rakh liya
darz tak se ab na phuTegi tamanna ki phuwar
chashma-e-KHwahish pe hum ne dil ka patthar rakh liya
wo jo uD kar ja chuka hai dur mere hath se
us ki ek bichhDi nishani taq mein par rakh liya
did ki jholi kahin KHali na rah jae 'adim'
hum ne aankhon mein tere jaane ka manzar rakh liya
phenk den galiyan birun-e-sahn sab is ne 'adim'
ghar ki jo manga tha main ne wo pas-e-dar rakh liya
Ghazal
Jo diya tu ne hamein wo surat-e-zar rakh liya
Adeem Hashmi

