jo dil qabu mein ho to koi ruswa-e-jahan kyun ho
KHalish kyun ho tapish kyun ho qalaq kyun ho fughan kyun ho
maza aata nahin tham tham ke hum ko ranj-o-rahat ka
KHushi ho gham ho jo kuchh ho ilahi na-gahan kyun ho
ye misra likh diya zalim ne meri lauh-e-turbat par
jo ho furqat ki betabi to yun KHwab-e-giran kyun ho
hamesha aadmi ka aadmi gham-KHwar hota hai
yahi be-e'tibari ho to koi raazdan kyun ho
bahut niklenge roz-e-hashr tere jaur ke KHwahan
sitam ka hausla duniya mein sarf-e-imtihan kyun ho
ghazab aaya sitam TuTa qayamat ho gai barpa
ye puchha tha ki tum aazurda mujh se meri jaan kyun ho
unhin ko ranjish-e-beja hai lekin hai to hum se hai
mohabbat gar na ho baham shikayat darmiyan kyun ho
gae Thukra ke mujh ko aur phir kahte gae ye bhi
nasib-e-dushmanan to paemal-e-asman kyun ho
nai takid hai zabt-e-mohabbat ki wo kahte hain
jigar ho to fughan kyun ho dahan ho to zaban kyun ho
sharik-e-daur-e-mai bazm-e-adu mein KHak hote hum
kisi ne raat-bhar itna na puchha tum yahan kyun ho
tahammul kar sake kya husn-e-nazuk un nigahon ka
use main ne chhupaya hai wagarna wo nihan kyun ho
KHuda shahid KHuda shahid hai kyun kahte ho wadon par
KHuda ko kya gharaz mere tumhaare darmiyan kyun ho
jigar se kam nahin ai chaaragar dagh-e-jigar mujh ko
jo paida ki ho mar mar ke wo daulat raegan kyun ho
nawed-e-jaan-fiza hai kya KHabar qatil ke aane ki
batao to sahi tum 'dagh' aise shadman kyun ho
Ghazal
Jo dil qabu mein ho to koi ruswa-e-jahan kyun ho
Dagh Dehlvi