jo chahti duniya hai wo mujh se nahin hoga
samjhauta koi KHwab ke badle nahin hoga
ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri
ye kaam magar mujh se akele nahin hoga
KHush-fahmi abhi tak thi yahi kar-e-junun mein
jo main nahin kar paya kisi se nahin hoga
tadbir nai soch koi ai dil-e-sada
mail-ba-karam tujh pe wo aise nahin hoga
be-nam se ek KHauf se dil kyun hai pareshan
jab tai hai ki kuchh waqt se pahle nahin hoga
Ghazal
Jo chahti duniya hai wo mujhse nahin hoga
Shahryar