jo bhi apnon se ulajhta hai wo kar kya lega
waqt bikhri hui taqat ka asar kya lega
KHar hi KHar hain ta-hadd-e-nazar diwane
hai ye diwana-e-insaf udhar kya lega
jaan par khel bhi jata hai sazawar-e-qafas
is bharose mein na rahiyega ye kar kya lega
pasti-e-zauq bulandi-e-nazar dar-o-rasan
un se tu mangne jata hai magar kya lega
rahbar-e-qaum-o-watan us ko KHuda sharmae
KHud jo bhaTka ho wo auron ki KHabar kya lega
sham-e-mahfil ka baqiyya hai farogh-e-ummid
sham se jis ka ye aalam ho sahar kya lega
baghban koshish-e-beja pe magan hai lekin
bhang bota hai jo gulshan mein samar kya lega
shaer-e-gauhar-e-be-ab-e-zamana ai 'shad'
sher-fahmon se kabhi dad-e-hunar kya lega
Ghazal
Jo bhi apnon se ulajhta hai wo kar kya lega
Shaad Aarfi

