jo aansuon ko na chamkae wo KHushi kya hai
na aae maut pe ghaalib to zindagi kya hai
hamein KHabar hai na apni na ahl-e-duniya ki
koi batae ye andaz-e-be-KHudi kya hai
main sath deta hun yaron ka hadd-e-manzil tak
main jaanta nahin dastur-e-rah-rawi kya hai
tere KHayal mein din-raat mast rahta hun
ye bandagi jo nahin hai to bandagi kya hai
tere karam se mayassar hai daulat-e-kaunain
tera karam hai jabhi tak mujhe kami kya hai
nae purane nasheman sabhi jala kar ab
nigah-e-barq khaDi dur takti kya hai
kisi ki chashm-e-karam aap par nahin to kyun
ye KHud se pochhiye kirdar mein kami kya hai
na aai jagti aankhon ke daere mein kabhi
ye bad-nasib ka ek KHwab hai KHushi kya hai
jo baat kahta hun karte hain us pe harf-zani
ye dosti hai to andaz-e-dushmani kya hai
qadam qadam pe kiye 'charKH' zindagi ne mazaq
samajh mein aa na saka qasd-e-zindagi kya hai
Ghazal
Jo aansuon ko na chamkae wo KHushi kya hai
Charkh Chinioti

