jo aankhon ke taqaze hain wo nazzare banata hun
andheri raat hai kaghaz pe main tare banata hun
mohalle wale mere kar-e-be-masraf pe hanste hain
main bachchon ke liye galiyon mein ghubbare banata hun
wo lori gaengi aur un mein bachchon ko sulaengi
main maon ke liye phulon ke gahware banata hun
faza-e-nil-gun mein hasrat-e-parwaz to dekho
main uDne ke liye kaghaz ke tayyare banata hun
mujhe rangon se apne hairaten taKHliq karni hain
kabhi titli kabhi jugnu kabhi tare banata hun
zamin yaKH-basta ho jati hai jab jaDon ki raaton mein
main apne dil ko sulgata hun angare banata hun
tera dast-e-hinai dekh kar mujh ko KHayal aaya
main apne KHun se lafzon ke gul-pare banata hun
mujhe ek kaam aata hai ye lafzon ke banane ka
kabhi miThe banata hun kabhi khaare banata hun
bulandi ki talab hai aur andar intishaar itna
so apne shahr ki saDkon pe fawware banata hun

Ghazal
Jo aankhon ke taqaze hain wo nazzare banata hun
Saleem Ahmed