jism-o-jaan rakhta hun lekin ye hawala kuchh nahin
aap ki nisbat hai sab kuchh mera apna kuchh nahin
ishq jis kuche mein rahta hai wo kucha hai bahisht
aql jis duniya mein rahti hai wo duniya kuchh nahin
kitne sada-lauh the agle zamane ke wo log
kah diya jo dil mein aaya dil mein rakkha kuchh nahin
dekhne wala koi hota to hum bhi khelte
the tamashe saikDon lekin dikhaya kuchh nahin
aa ke jo sairab karti hai zamin-e-KHushk ko
asl mein hai mauj-e-dariya shor-e-dariya kuchh nahin
is taraf hai meri wahshat us taraf tera jamal
wo haqiqat daimi hai ye tamasha kuchh nahin
jaane kis ki justuju mein thi hayat-e-muKHtasar
umr-bhar bhaga kiye aur hath aaya kuchh nahin
ye hasin manzar ye bahr-o-bar ye sab mah-o-nujum
teri qudrat ka karishma hain kisi ka kuchh nahin
pesh karna hai to us ko pesh kije dil 'ziya'
yar ki nazron mein duniya ka asasa kuchh nahin
Ghazal
Jism-o-jaan rakhta hun lekin ye hawala kuchh nahin
Zia Faruqi