jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein
wahi bani hua mere gham o dard o aziyyat ka
usi ke hath se kya kya saha sahna hai kya kya kuchh
ilahi do jahan mein munh ho kala is murawwat ka
karen insaf ka dawa asar kuchh bhi na zahir ho
maza chakkha hai aise doston se bhi mohabbat ka
miTaen taki apne zulm karne ki nadamat ko
nikalen DhunD kar har tarah se pahlu shikayat ka
hasad ji mein bhara hai lag hai ek umr se dil mein
karen zahir agar mauqa hai izhaar-e-adawat ka
tama mein kuchh na samjhen bap aur bhai ki hurmat ko
amal dekho to ye phir kuchh karen dawa sharafat ka
meri umr-e-do-roza bekasi ke sath kaTti hai
na apnon se na ghairon se mila samra riyazat ka
jise dekha jise paya gharaz ka apni banda tha
jahan main ab maza baqi nahin KHalis mohabbat ka
hamara kalba-e-ahzan hai hum hain ya kitaben hain
raha baqi na koi ham-nashin ab apni qismat ka
KHuda aabaad rakkhe 'shad' mere un azizon ko
maza chakkhwa diya al-qarz-o-miqraaz-ul-mohabbat ka
Ghazal
Jise pala tha ek muddat tak aaghosh-e-tamanna mein
Shad Azimabadi