jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho
ai jaan-e-jahan ye koi tum sa hai ki tum ho
ye KHwab hai KHushbu hai ki jhonka hai ki pal hai
ye dhund hai baadal hai ki saya hai ki tum ho
is did ki saat mein kai rang hain larzan
main hun ki koi aur hai duniya hai ki tum ho
dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri
dekhun ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho
ye umr-e-gurezan kahin Thahre to ye jaanun
har sans mein mujh ko yahi lagta hai ki tum ho
har bazm mein mauzu-e-suKHan dil-zadagan ka
ab kaun hai shirin hai ki laila hai ki tum ho
ek dard ka phaila hua sahra hai ki main hun
ek mauj mein aaya hua dariya hai ki tum ho
wo waqt na aae ki dil-e-zar bhi soche
is shahr mein tanha koi hum sa hai ki tum ho
aabaad hum aashufta-saron se nahin maqtal
ye rasm abhi shahr mein zinda hai ki tum ho
ai jaan-e-'faraaz' itni bhi taufiq kise thi
hum ko gham-e-hasti bhi gawara hai ki tum ho
Ghazal
Jis samt bhi dekhun nazar aata hai ki tum ho
Ahmad Faraz