اردو हिंदी
Jis jagah jama tere KHak-nashin hote hain | Shaahi Shayari
jis jagah jama tere KHak-nashin hote hain

Ghazal

Jis jagah jama tere KHak-nashin hote hain

Seemab Akbarabadi

;

jis jagah jama tere KHak-nashin hote hain
ghaaliban sab mein numudar hamin hote hain

dard-e-sar un ke liye kyun hai mera ijz-o-niyaz
mere sajdon se wo kyun chin-ba-jabin hote hain

un ki mahfil se tasawwur ka talluq hai hamein
aankh kar lete hain jab band wahin hote hain

tere jalwon ne mujhe gher liya hai ai dost
ab to tanhai ke lamhe bhi hasin hote hain

etikaf in dinon hai farz suna hai 'simab'
ramazan aa gae mai-KHana-nashin hote hain