اردو हिंदी
Wo jinko umar bhar suhag ki duaen di gain | Shaahi Shayari
wo jinko umar bhar suhag ki duaen di gain

Ghazal

Wo jinko umar bhar suhag ki duaen di gain

Ishrat Afreen

;

wo jin ko umar bhar suhag ki duaen di gain
suna hai apni chuDiyan hi pis pis pi gain

bahut hai ye riwayaton ka zahr sari umar ko
jo talKHiyan hamare aanchalon mein bandh di gain

kabhi na aisi fasl mere ganw mein hui ki jab
kusum ke badle chunariyan gulab se rangi gain

wo jin ke pairahan ki KHushbuen hawa pe qarz thin
ruton ki wo udas shahzadiyan chali gain

in ungliyon ko chumna bhi bidaten shumar ho
wo jin se KHak par numu ki aayaten likhi gain

saron ka ye lagan ab ke fasl kaun le gaya
ye kis ki khetiyan thin aur kis ko saunp di gain