jin KHwahishon ko dekhti rahti thi KHwab mein
ab likh rahi hun un ko haqiqat ke bab mein
ek jhil ke kinare parindon ke darmiyan
suraj ko hote dekha tha tahlil aab mein
KHwabon pe iKHtiyar na yaadon pe zor hai
kab zindagi guzari hai apne hisab mein
ek hath us ka jal pe patwar ek mein
aur Dubta wajud mera sail-e-ab mein
purwai chal ke aur bhi wahshat baDha gai
halki si aa gai thi kami iztirab mein
aazad hain to bagh ka mausam hi aur hai
KHushbu hai tez rang bhi gahra gulab mein
apni zamin ki aab-o-hawa ras hai mujhe
mere liye kashish nahin koi sarab mein
dekho junun mein un ke khilaune na toDna
tum ko raqam karenge ye bachche kitab mein
Ghazal
Jin KHwahishon ko dekhti rahti thi KHwab mein
Fatima Hasan