ji bahalta hi nahin sans ki jhankaron se
phoD lun sar na kahin jism ki diwaron se
apne riste hue zaKHmon pe chhiDak leta hun
rakh jhaDti hai jo ehsas ke angaron se
git gaun to lapak jate hain shoale dil mein
saz chheDun to nikalta hai dhuan taron se
kasa-e-sar liye phirti hain wafaen ab bhi
ab bhi teshon ki sada aati hai kohsaron se
zinda lashen bhi dukanon mein saji hain shayad
bu-e-KHun aati hai khulte hue bazaron se
kya mere aks mein chhup jaenge un ke chehre
itna puchhe koi un aaina-bardaron se
pyar har-chand jhalakta hai un aankhon se magar
zaKHm bharte hain 'muzaffar' kahin talwaron se
Ghazal
Ji bahalta hi nahin sans ki jhankaron se
Muzaffar Warsi