اردو हिंदी
Jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta | Shaahi Shayari
jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta

Ghazal

Jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta

Javed Akhtar

;

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta

ghalat baaton ko KHamoshi se sunna hami bhar lena
bahut hain faede is mein magar achchha nahin lagta

mujhe dushman se bhi KHuddari ki ummid rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta

bulandi par unhen miTTi ki KHushbu tak nahin aati
ye wo shaKHen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta

ye kyun baqi rahe aatish-zano ye bhi jala Dalo
ki sab beghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta