اردو हिंदी
JhuTi tasalliyon pe shab-e-gham basar hui | Shaahi Shayari
jhuTi tasalliyon pe shab-e-gham basar hui

Ghazal

JhuTi tasalliyon pe shab-e-gham basar hui

Javed Lakhnvi

;

jhuTi tasalliyon pe shab-e-gham basar hui
uThi chamak jo zaKHm mein samjha sahar hui

har har nafas chhuri hai liye qat-e-sham-e-hijr
ya aaj dam nikal hi gaya ya sahar hui

badlin jo karwaTen to zamana badal gaya
duniya thi be-sabaat idhar ki udhar hui

jati hai raushni meri aankhon ko chhoD ke
tare chhupe wo so ke uThe wo sahar hui

pahle ye jaanta tha ki zaKHmi nahin hai dil
jab de diya ragon ne lahu jab KHabar hui

kis munh se roun main dil-e-hasrat-nasib ko
jab mar gaya gharib to mujh ko KHabar hui

'jawed' bu-e-gul ko hawa aa ke le gai
kaliyon ko gham hua na gulon ko KHabar hui