jhuk sake aap ka ye sar to jhuka kar dekhen
rah mein dil hai ki patthar hai uTha kar dekhen
ye bhi ek shart hai takmil-e-hikayat ke liye
haal-o-mustaqbil-o-mazi ko mila kar dekhen
aabru husn ki ho jae na pamal-e-nazar
dekhna ho to uThen KHud se chhupa kar dekhen
ghairat-e-zuhra-wshan rashk-e-qamar hain ki nahin
aao in KHak ke zarron ko uTha kar dekhen
ab nahin milne ke duniya mein wo KHasan-e-junun
lakh hum ahl-e-KHirad shama jala kar dekhen
un hijabon ko jo manus-e-azal hain ab tak
aao fitrat ki nigahon mein sama kar dekhen
KHud hi khul jaega arbab-e-gulistan ka bharam
chheD kar gul ko to ghunchon ko hansa kar dekhen
zindagi dard sarapa hi nahin pyar bhi hai
aao is pyar ko naghmon mein saja kar dekhen
kya ata hoti hai kya ajr-o-sila milta hai
ai 'raza' dast-e-talab hum bhi baDha kar dekhen

Ghazal
Jhuk sake aap ka ye sar to jhuka kar dekhen
Raza Jaunpuri