jhijak izhaar-e-arman ki ba-asani nahin jati
KHud apne shauq ki dil se pashemani nahin jati
taDap shishe ke TukDe bhi uDa lete hain hire ki
mohabbat ki nazar jaldi se pahchani nahin jati
ufuq par nur rah jata hai suraj Dubne par bhi
ki dil bujh kar bhi nazron ki daraKHshani nahin jati
su-e-dil aa ke ab chashm-e-karam bhi kya bana legi
shua-e-mehr se sahra ki virani nahin jati
ye bazm-e-dair-o-kaba hai nahin kuchh sehn-e-mai-KHana
zara aawaz gunji aur pahchani nahin jati
kisi ke lutf-e-be-payan ne kuchh yun su-e-dil dekha
ki ab na-karda jurmon ki pashemani nahin jati
taghaful par na ja us ke taghaful ek dhoka hai
nigah-e-dost ki tahrik-e-pinhani nahin jati
nazar jhuTi shabab andha wo husn ek naqsh-e-fani hai
haqiqat hai to ho lekin abhi mani nahin jati
mayassar hai har ek iman mein mujh ko zauq ka sajda
koi mazhab bhi ho buniyaad-e-insani nahin jati
nazar jis ki taraf kar ke nigahen pher lete ho
qayamat tak phir us dil ki pareshani nahin jati
na samjho zabt-e-girya se KHata par main nahin nadim
ki aansu ponchh lene se pashemani nahin jati
na ponchho tajrabaat-e-zindagani choT lagti hai
nazar ab dost aur dushman ki pahchani nahin jati
zamana karwaTon par karwaTen leta hai aur 'mulla'
teri ab tak wo KHwab-awar ghazal-KHwani nahin jati
Ghazal
Jhijak izhaar-e-arman ki ba-asani nahin jati
Anand Narayan Mulla