jazba-e-dil ne mere tasir dikhlai to hai
ghungruon ki jaanib-e-dar kuchh sada aai to hai
ishq ke izhaar mein har-chand ruswai to hai
par karun kya ab tabiat aap par aai to hai
aap ke sar ki qasam mere siwa koi nahin
be-takalluf aaiye kamre mein tanhai to hai
jab kaha main ne taDapta hai bahut ab dil mera
hans ke farmaya taDapta hoga saudai to hai
dekhiye hoti hai kab rahi su-e-mulk-e-adam
KHana-e-tan se hamari ruh ghabrai to hai
dil dhaDakta hai mera lun bosa-e-ruKH ya na lun
nind mein us ne dulai munh se sarkai to hai
dekhiye lab tak nahin aati gul-e-ariz ki yaad
sair-e-gulshan se tabiat hum ne bahlai to hai
main bala mein kyun phansun diwana ban kar us ke sath
dil ko wahshat ho to ho kambaKHt saudai to hai
KHak mein dil ko milaya jalwa-e-raftar se
kyun na ho ai naujawan ek shan-e-ranai to hai
yun murawwat se tumhaare samne chup ho rahen
kal ke jalson ki magar hum ne KHabar pai to hai
baada-e-gul-rang ka saghar inayat kar mujhe
saqiya taKHir kya hai ab ghaTa chhai to hai
jis ki ulfat par baDa dawa tha kal 'akbar' tumhein
aaj hum ja kar use dekh aae harjai to hai
Ghazal
Jazba-e-dil ne mere tasir dikhlai to hai
Akbar Allahabadi