jasad ne jaan se puchha ki qalb-e-be-riya kya hai
KHitab aaya ki aaine mein jauhar ke siwa kya hai
ayan aaine mein hai surat-e-mani-safa kya hai
nihan taskin mein hai iztirab-e-dil riya kya hai
miTana aap ko nabud ho jaana fana kya hai
samana aap mein aur KHud ba-KHud hona baqa kya hai
do-alam jalwa-gah-e-husn mein ain-e-basirat mein
ye aks-e-shaKHs hai aaine mein surat-numa kya hai
wo yakta zat hai ain-e-surur-e-ilm-o-haq ai dil
nihan kasrat mein wahdat ho gai hai ma-siwa kya hai
qidam hai zat-e-wahid haal hai mazi-o-mustaqbil
azal se ta abad ki ibtida kya intiha kya hai
miTa kar dil se pindar-e-KHudi insaf se dekho
ki be-zauq-e-tamanna hasti-e-bim-o-raja kya hai
na the aape mein musi warna un ka hausla kya tha
jo bol uThte ki aa parda se bahar dekhta kya hai
tajalli ban gai 'sahir' naqab-e-ru-e-jaan-e-jaan
ki didan hukm-e-na-didan hai yarab majra kya hai

Ghazal
Jasad ne jaan se puchha ki qalb-e-be-riya kya hai
Sahir dehlavi