janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle
tamashe ko ajab kya wo but-e-dam-baz aa nikle
agar diwana tera jaanib-e-kohsar ja nikle
qubur-e-wamiq-o-majnun se shor-e-marhaba nikle
abhi tifli hi mein wo but namuna hai qayamat ka
jawani mein nahin malum kya nam-e-KHuda nikle
kahan wo sard-mehri thi kahan ye garm-joshi hai
ajab kya is karam mein bhi koi tarz-e-jafa nikle
mera afsana hai majzub ki baD gar koi DhunDe
na zahir ho KHabar us ki na us ka mubtada nikle
wo mere lashe par bole nazar yun pher kar mujh se
chale huron se tum milne nihayat bewafa nikle
hamara dil hamari aankh donon un ke maskan hain
kabhi us ghar mein ja dhamke kabhi is ghar mein aa nikle
paDa kis kashmakash mein yar ke ghar raat main ja kar
na uTh kar muddai jae na mera muddaa nikle
taDapta hun bujha de pyas meri aab-e-KHanjar se
ki mere dil se ai qatil tere haq mein dua nikle
dikha kar zahr ki shishi kaha 'ranjur' se us ne
ajab kya teri bimari ki ye hakmi dawa nikle

Ghazal
Janaza dhum se us aashiq-e-jaan-baz ka nikle
Ranjoor Azimabadi