jama hua hai falak pe kitna ghubar mera
jo mujh pe hota nahin hai raaz aashkar mera
tamam duniya simaT na jae meri hadon mein
ki had se baDhne laga hai ab intishaar mera
dhuan sa uThta hai kis jagah se main jaanta hun
jalata rahta hai mujh ko har pal sharar mera
badal rahe hain sabhi sitare madar apna
mere junun pe Tika hai dar-o-madar mera
kisi ke raste pe kaise nazren jamae rakkhun
abhi to karna mujhe hai KHud intizar mera
teri itaat qubul kar lun bhala main kaise
ki mujh pe chalta nahin hai KHud iKHtiyar mera
bas ek pal mein kisi samundar mein ja girunga
abhi sitaron mein ho raha hai shumar mera
Ghazal
Jama hua hai falak pe kitna ghubar mera
Alam Khursheed