jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hain
mujh se kahan chhupenge wo aise kahan ke hain
khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihan ke hain
kya phuTne ke waste chhaale zaban ke hain
karte hain qatl wo talab-e-maghfirat ke baad
jo the dua ke hath wahi imtihan ke hain
jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-KHak
us roz se zamin pe sitam aasman ke hain
bazu dikhae tum ne laga kar hazar hath
pure paDe to wo bhi bahut imtihan ke hain
naseh ke samne kabhi sach bolta nahin
meri zaban mein rang tumhaari zaban ke hain
kaisa jawab hazrat-e-dil dekhiye zara
paigham-bar ke hath mein TukDe zaban ke hain
kya iztirab-e-shauq ne mujh ko KHajil kiya
wo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain
aashiq tere adam ko gae kis qadar tabah
puchha har ek ne ye musafir kahan ke hain
har-chand 'dagh' ek hi ayyar hai magar
dushman bhi to chhaTe hue sare jahan ke hain
Ghazal
Jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hain
Dagh Dehlvi