jalwa-gar us ka sarapa hai badan aaine mein
nazar aata hai hamein sarw-e-chaman aaine mein
sina-safon se KHabar aalam-e-alwi ki to puchh
arsh o kursi hai yahan aks-fagan aaine mein
tab-e-azurdagi kab hai dil-e-ashiq ko yahan
chin-e-peshani se paDti hai shikan aaine mein
chashm-e-bimar se Tapke tha lahu dekhte waqt
palken hiliyan to paDa zor hi ran aaine mein
le liya pyar se aks apne ka jhuk kar bosa
us ne dekha jo wo pan-KHurda dahan aaine mein
abraq-e-soKHta sa kyun na nazar aae jo ho
aatish-e-husn teri saiqa-zan aaine mein
dam mein lawen wo ta aks ki tere taswir
zulfen phenkin hain do jaanib se rasan aaine mein
aab-e-ju ka hai ye aalam ki nazar aata hai
lal-e-rummani sa har gul ka baran aaine mein
dil-e-mayus ko pahne hue aati hain nazar
saikaDon hasrat-e-didar kafan aaine mein
aaina dekhte pichhe se jo main aa nikla
aks par aks hua saya-fagan aaine mein
thi to aazurdagi muddat se pa wo ruThe hue
bin manae gae be-saKHta man aaine mein
'mushafi' kyun na kahe tujh ko koi tuti-e-hind
jab tu is waza kare fikr-e-suKHan aaine mein
Ghazal
Jalwa-gar us ka sarapa hai badan aaine mein
Mushafi Ghulam Hamdani

