jalwa dikhlae jo wo apni KHud-arai ka
nur jal jae abhi chashm-e-tamashai ka
rang har phul mein hai husn-e-KHud-arai ka
chaman-e-dahr hai mahzar teri yaktai ka
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz tha husn
bhulta hi nahin aalam teri angDai ka
uf tere husn-e-jahan-soz ki pur-zor kashish
nur sab khench liya chashm-e-tamashai ka
dekh kar nazm-e-do-alam hamein kahna hi paDa
ye saliqa hai kase anjuman-arai ka
kal jo gulzar mein hain gosh-bar-awaz 'aziz'
mujh se bulbul ne liya tarz ye shewai ka
Ghazal
Jalwa dikhlae jo wo apni KHud-arai ka
Aziz Lakhnavi