jalta hai jigar to chashm nam hai
kya jaane ye kis ka mujh ko gham hai
jawe to kanisht-e-dil mein ho kar
to kabe ki rah do qadam hai
dekhe hai wo dhukdhuki mein jab se
tab se mera dhukdhuke mein dam hai
taswir tu us ki zulf ki dekh
naqqash ye chin ka qalam hai
gar dida-e-ghaur se tu dekhe
hasti jise kahte hain adam hai
itne jo hue hain hum bad-ahwal
ye hazrat-e-ishq ka karam hai
har-chand us ki hai har ada shoKH
manzur apna jo ek sanam hai
par danton tale zaban dabana
bedad hai qahr hai sitam hai
samjho na faqir 'mushafi' ko
ye waqt ka apne muhtasham hai
Ghazal
Jalta hai jigar to chashm nam hai
Mushafi Ghulam Hamdani

