jalan ke KHauf se bahar nikal sako to chalo
bichhi hai dhup hi raston mein chal sako to chalo
yahi taqaza hai is bar bhi mohabbat ka
badan pe gard-e-safar ko jo mal sako to chalo
jala ke zillat-e-shab mein hatheliyon pe charagh
hawa ke ruKH ko agarche badal sako to chalo
mila hai izn-e-masafat kaDe andheron mein
kisi charagh ki lau mein jo Dhal sako to chalo
KHayal rakhna ajal aaKHiri paDaw nahin
azab-e-umr se bahar nikal sako to chalo
bahut hi TeDha hai ai dost ishq ka rasta
baghair rah-numa ke sambhal sako to chalo
is ek shart pe gulshan mein daKHila hoga
kisi gulab ke sanche mein Dhal sako to chalo
har ek gam pe bikhri hai rakh sadiyon ki
'nabil' ban ke sharara jo jal sako to chalo

Ghazal
Jalan ke KHauf se bahar nikal sako to chalo
Nabeel Ahmad Nabeel