اردو हिंदी
Jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale | Shaahi Shayari
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale

Ghazal

Jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale

Majrooh Sultanpuri

;

jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
jo ghar ko aag lagae hamare sath chale

dayar-e-sham nahin manzil-e-sahar bhi nahin
ajab nagar hai yahan din chale na raat chale

hamare lab na sahi wo dahan-e-zaKHm sahi
wahin pahunchti hai yaro kahin se baat chale

sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh
jahan talak ye sitam ki siyah raat chale

hua asir koi ham-nawa to dur talak
ba-pas-e-tarz-e-nawa hum bhi sath sath chale

bacha ke lae hum ai yar phir bhi naqd-e-wafa
agarche luTte rahe rahzanon ke hath chale

phir aai fasl ki manind barg-e-awara
hamare nam gulon ke muraslat chale

qatar-e-shisha hai ya karwan-e-ham-safaran
KHiram-e-jam hai ya jaise kaenat chale

bula hi baiThe jab ahl-e-haram to ai 'majruh'
baghal mein hum bhi liye ek sanam ka hath chale