jala hai kis qadar dil zauq-e-kawish-ha-e-mizhgan par
ki sau sau nashtaron ki nok hai ek ek rag-e-jaan par
paDa hoga magar aks-e-ezar-e-lala-gun warna
ye gustaKHi hamara KHun aur qatil ke daman par
tariq-e-ishq mein hai ranj pahle aur KHushi pichhe
madar-e-subh roz-e-wasl hai ek sham-e-hijran par
meri diwangi roz-e-qayamat mere kaam aai
qalam rahmat ka khincha us ne aaKHir mere isyan par
agar un ke taghaful ko hai dawa apni tamkin ka
hamari KHud-faramoshi ko hai naz apne nisyan par

Ghazal
Jala hai kis qadar dil zauq-e-kawish-ha-e-mizhgan par
Sahir dehlavi