jaisa hamein guman tha waisa nahin raha
qissa bhi iKHtitam pe qissa nahin raha
ek KHauf sath sath hai unche makan ka
aisa nahin ki shahr mein saya nahin raha
sailab apne sath baha le gaya use
nila subuk-KHiram wo dariya nahin raha
kashti ke baadban mein simTi rahi hawa
lutf-e-safar ki main tha akela nahin raha
milti hai bich bich mein shahron ki raushni
sahra ka gasht khel-tamasha nahin raha
kahte nahin ho sher buzurgon ki tarz par
tum ko 'suhail' KHauf KHuda ka nahin raha
Ghazal
Jaisa hamein guman tha waisa nahin raha
Suhail Ahmed Zaidi

